Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa gai dil ki lagi baDh ke rag-e-jaan ke qarib

Natiq Gulavthi

aa gai dil ki lagi baDh ke rag-e-jaan ke qarib

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

    aa ga.ī dil lagī baḌh ke rag-e-jāñ ke qarīb

    qāfila shauq hai manzil-e-armāñ ke qarīb

    ādamiyyat nahīñ phaTkī tire darbāñ ke qarīb

    varna aatā to hai insān insāñ ke qarīb

    vaz-e-pābandī o āzādī-e-hastī tauba

    ya.anī zindāñ se kahīñ duur na zindāñ ke qarīb

    jur.at-e-afzā-e-savāl ai zahe andāz-e-javāb

    aatī jaatī hai ab us but nahīñ haañ ke qarīb

    hai to kuchh hashr aamad hameñ bhī khaTkā

    is ke āsār to haiñ ganj-e-shahīdāñ ke qarīb

    mujh ko ma.alūm huā ab ki zamāna tum ho

    mil ga.ī rāh-e-sukūñ gardish-e-daurāñ ke qarīb

    ġham-o-andoh lashkar bhī chalā aatā hai

    ek ghoḌ-dauḌ hai umr-e-gurezāñ ke qarīb

    girya-e-ġham ko hai palkoñ ishāra darkār

    ek umDā huā tūfān hai mizhgāñ ke qarīb

    jaan kis kis ko sambhāle ki sab ajzā-e-vajūd

    haiñ pareshāni-e-ḳhātir se pareshāñ ke qarīb

    paañv dāman se ulajhte haiñ ḳhudā ḳhair kare

    haath rahte haiñ ka.ī din se garebāñ ke qarīb

    bhuul ḳhud ko ki hai ma.arifat-e-nafs yahī

    koī rahtā nahīñ sarhad-e-irfāñ ke qarīb

    kasrat-e-ḳhār rah-e-shauq ilāhī tauba

    kahīñ pahuñche to nahīñ rauza-e-rizvāñ ke qarīb

    marhabā bandagī-āmoz tasavvur terā

    jis ke ehsān se pahuñchā huuñ maiñ ehsāñ ke qarīb

    tuur chheḌ huī hosh-rubā varna kalīm

    koī pahuñchā bhī to thā sho.ala-e-uryāñ ke qarīb

    qadr-afzā.ī-e-māhaul-e-vatan kyā kahnā

    daam yūsuf ke bahut aa ga.e kan.āñ ke qarīb

    ab to 'nātiq' bas itnā patā chaltā hai

    hai kahīñ ghar se bahut duur bayābāñ ke qarīb

    aa gai dil ki lagi baDh ke rag-e-jaan ke qarib

    qafila shauq ka hai manzil-e-arman ke qarib

    aadamiyyat nahin phaTki tere darban ke qarib

    warna aata to hai insan hi insan ke qarib

    waz-e-pabandi o aazadi-e-hasti tauba

    yani zindan se kahin dur na zindan ke qarib

    jurat-e-afza-e-sawal ai zahe andaz-e-jawab

    aati jati hai ab us but ki nahin han ke qarib

    hai to kuchh hashr ki aamad ka hamein bhi khaTka

    is ke aasar to hain ganj-e-shahidan ke qarib

    mujh ko malum hua ab ki zamana tum ho

    mil gai rah-e-sukun gardish-e-dauran ke qarib

    gham-o-andoh ka lashkar bhi chala aata hai

    ek ghoD-dauD si hai umr-e-gurezan ke qarib

    girya-e-gham ko hai palkon ka ishaara darkar

    ek umDa hua tufan hai mizhgan ke qarib

    jaan kis kis ko sambhaale ki sab ajza-e-wajud

    hain pareshani-e-KHatir se pareshan ke qarib

    panw daman se ulajhte hain KHuda KHair kare

    hath rahte hain kai din se gareban ke qarib

    bhul ja KHud ko ki hai marifat-e-nafs yahi

    koi rahta hi nahin sarhad-e-irfan ke qarib

    kasrat-e-KHar rah-e-shauq ilahi tauba

    kahin pahunche to nahin rauza-e-rizwan ke qarib

    marhaba bandagi-amoz tasawwur tera

    jis ke ehsan se pahuncha hun main ehsan ke qarib

    tur ki chheD hui hosh-ruba warna kalim

    koi pahuncha bhi to tha shoala-e-uryan ke qarib

    qadr-afzai-e-mahaul-e-watan kya kahna

    dam yusuf ke bahut aa gae kanan ke qarib

    ab to 'natiq' ka bas itna hi pata chalta hai

    hai kahin ghar se bahut dur bayaban ke qarib

    Source:

    Deewan-e-Natiq (Pg. ebook-60 page-48)

    • Author: Natiq Gulavthi
      • Edition: 1976
      • Publisher: Mohammad Abdul Halim
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now