Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghunche ne ki jo us se tul-e-kalam ki baat

Shad Lakhnavi

ghunche ne ki jo us se tul-e-kalam ki baat

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ġhunche ne jo us se tūl-e-kalām baat

    bulbul ye sun ke bolī chhoTā muñh baḌī baat

    vo kān-e-ḳhāmushī huuñ gosh-e-samā.at-āgīñ

    suntā huuñ sab apnī kahtā nahīñ koī baat

    bulbul na rāz-e-dil kah dīvār-e-gosh vārid

    niklī jo muñh se bāhar chhuptī nahīñ kabhī baat

    tārīf us dahan pārīna to kyā

    sunñe se tāzgī ho itnī to ho na.ī baat

    ḳhāmoshī-e-butāñ baa.is ye barhaman hai

    Dar hai kahīñ na nikle muñh se burī-bhalī baat

    vo mard-e-rāst-go huuñ misl-e-qalam jahāñ meñ

    gar do bhī hoñ zabāneñ nikle na dūsrī baat

    mar bhī ga.e barahman bātoñ hasratoñ meñ

    bole sanam na muñh se kahne ko rah ga.ī baat

    ai 'shād' ḳhairiyat ho bulbul ke musht-e-par

    bād-e-sabā bhī aa.ī sun kar uḌī-paḌī baat

    ghunche ne ki jo us se tul-e-kalam ki baat

    bulbul ye sun ke boli chhoTa tu munh baDi baat

    wo kan-e-KHamushi hun gosh-e-samaat-agin

    sunta hun sab ki apni kahta nahin koi baat

    bulbul na raaz-e-dil kah diwar-e-gosh warid

    nikli jo munh se bahar chhupti nahin kabhi baat

    tarif us dahan ki parina ki to kya ki

    sunne se tazgi ho itni to ho nai baat

    KHamoshi-e-butan ka bais ye barhaman hai

    Dar hai kahin na nikle munh se buri-bhali baat

    wo mard-e-rast-go hun misl-e-qalam jahan mein

    gar do bhi hon zabanen nikle na dusri baat

    mar bhi gae barahman baaton ki hasraton mein

    bole sanam na munh se kahne ko rah gai baat

    ai 'shad' KHairiyat ho bulbul ke musht-e-par ki

    baad-e-saba bhi aai sun kar uDi-paDi baat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now