hakim-e-dil ban gai hain ye theatre waliyan
hākim-e-dil ban ga.ī haiñ ye theatre vāliyāñ
maiñ lagā.ūñgā gul-e-dāġh-e-jigar kī Dāliyāñ
zabt ke jaame ke baḳhiya TūTte haiñ dosto
haa.e ye beleñ kashīde aur aisī jāliyāñ
huur mustaqbil parī maazī magar ye haal haiñ
dī-o-fardā kyā karūñ pā.ūñ jo ye ḳhush-hāliyāñ
āsmāñ se kyā ġharaz jab hai zamīñ par ye chamak
māh-o-anjum se haiñ baḌh kar un ke bunde bāliyāñ
fool vo kahtī haiñ mujh ko maiñ unheñ samjhā huuñ phuul
haiñ gul-e-rangīñ se behtar un guloñ kī gāliyāñ
hakim-e-dil ban gai hain ye theatre waliyan
main lagaunga gul-e-dagh-e-jigar ki Daliyan
zabt ke jame ke baKHiya TuTte hain dosto
hae ye belen kashide aur aisi jaliyan
hur mustaqbil pari mazi magar ye haal hain
di-o-farda kya karun paun jo ye KHush-haaliyan
aasman se kya gharaz jab hai zamin par ye chamak
mah-o-anjum se hain baDh kar un ke bunde baaliyan
fool wo kahti hain mujh ko main unhen samjha hun phul
hain gul-e-rangin se behtar un gulon ki galiyan
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 111)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.