hathon ko uTha jaan se aaKHir ko rahunga
hāthoñ ko uThā jaan se āḳhir ko rahūñgā
par dil hai rafīq is ko kabhī tujh ko na dūñgā
be-bosa-e-lab ke to kabhī maiñ na Talūñgā
go gāliyāñ tū degā to ban jā.ūñgā gūñgā
gar vasl kī Thahregī na tujh se to marūñgā
par bār-e-judā.ī kī musībat na sahūñgā
maiñ ġhair ko kab paas tire baiThne dūñgā
gar vo nahīñ uThne kā to lā-haul paḌhūñgā
hathon ko uTha jaan se aaKHir ko rahunga
par dil hai rafiq is ko kabhi tujh ko na dunga
be-bosa-e-lab ke to kabhi main na Talunga
go galiyan tu dega to ban jaunga gunga
gar wasl ki Thahregi na tujh se to marunga
par bar-e-judai ki musibat na sahunga
main ghair ko kab pas tere baiThne dunga
gar wo nahin uThne ka to la-haul paDhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.