hamara dil dukhaya hai kisi ne
hamārā dil dukhāyā hai kisī ne
hameñ kitnā satāyā hai kisī ne
nahīñ koī vahāñ maujūd apnā
jahāñ ham ko bulāyā hai kisī ne
hamārī baat sun kar ro paḌe vo
koī naġhma sunāyā hai kisī ne
kahāñ se aa gayā sailāb itnā
tumheñ jī-bhar rulāyā hai kisī ne
ġharīboñ ko satāyā aur luuTā
bahut paisa kamāyā hai kisī ne
hamara dil dukhaya hai kisi ne
hamein kitna sataya hai kisi ne
nahin koi wahan maujud apna
jahan hum ko bulaya hai kisi ne
hamari baat sun kar ro paDe wo
koi naghma sunaya hai kisi ne
kahan se aa gaya sailab itna
tumhein ji-bhar rulaya hai kisi ne
gharibon ko sataya aur luTa
bahut paisa kamaya hai kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.