hamare bhi hain log aiwan mein
hamāre bhī haiñ log aivān meñ
añgūThe saje haiñ qalamdān meñ
muqaddas mazāroñ pe qavvāliyāñ
nahā.ī huī itr-o-lobān meñ
havelī kā sūraj jhukā.e thā sar
udāsī kī beleñ thiiñ dālān meñ
kidhar chaltī phirtī dukāneñ ga.iiñ
numā.ish lagā.ī thī maidān meñ
koī faisla itnī jaldī na kar
zarā der kī jān-pahchān meñ
hamare bhi hain log aiwan mein
anguThe saje hain qalamdan mein
muqaddas mazaron pe qawwaliyan
nahai hui itr-o-loban mein
haweli ka suraj jhukae tha sar
udasi ki belen thin dalan mein
kidhar chalti phirti dukanen gain
numaish lagai thi maidan mein
koi faisla itni jaldi na kar
zara der ki jaan-pahchan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.