hamari mir se yari bahut hai
hamārī 'mīr' se yaarī bahut hai
tabhī vahshat kī bīmārī bahut hai
tumheñ saare gulistāñ hoñ mubārak
hameñ sahrā kī sardārī bahut hai
maiñ duniyā bhī lagā letā gale se
magar us samt makkārī bahut hai
milegī ḳhaak tum ko kāmyābī
tumhārī soch bāzārī bahut hai
tire saare ġhulāmoñ ke maiñ sadqe
jinheñ tahzīb-e-ḳhuddārī bahut hai
hamari 'mir' se yari bahut hai
tabhi wahshat ki bimari bahut hai
tumhein sare gulistan hon mubarak
hamein sahra ki sardari bahut hai
main duniya bhi laga leta gale se
magar us samt makkari bahut hai
milegi KHak tum ko kaamyabi
tumhaari soch bazari bahut hai
tere sare ghulamon ke main sadqe
jinhen tahzib-e-KHuddari bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.