hamein ghazlen to aati hain tarane par nahin aate
hameñ ġhazleñ to aatī haiñ tarāne par nahīñ aate
haiñ qisse to bahut ham par sunāne par nahīñ aate
isī Dar se haiñ milte har kisī se fāsloñ se ham
banā sakte haiñ ham rishte nibhāne par nahīñ aate
fidā har ek insāñ hai mirī bas ek muskāñ par
mire mahbūb hī mujh ko lubhāne par nahīñ aate
haqīqat kī to 'ādat hai hamesha hī rulāne kī
hameñ to ḳhvāb bhī jhūTe hañsāne par nahīñ aate
bhulā baiThā jinheñ hai vaqt bhī ab vaqt ke chalte
'parastish' aaj bhī tum ko bhulāne par nahīñ aate
hamein ghazlen to aati hain tarane par nahin aate
hain qisse to bahut hum par sunane par nahin aate
isi Dar se hain milte har kisi se faslon se hum
bana sakte hain hum rishte nibhane par nahin aate
fida har ek insan hai meri bas ek muskan par
mere mahbub hi mujh ko lubhane par nahin aate
haqiqat ki to 'adat hai hamesha hi rulane ki
hamein to KHwab bhi jhuTe hansane par nahin aate
bhula baiTha jinhen hai waqt bhi ab waqt ke chalte
'parastish' aaj bhi tum ko bhulane par nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.