hamein to nashsha-e-hijran nidhaal chhoD gaya
hameñ to nashsha-e-hijrāñ nidhāl chhoḌ gayā
vo ḳhvān-e-jism pe rizq-e-visāl chhoḌ gayā
lahak rahā thā kahīñ mujh meñ koī sabza-e-ḳhvāb
vo aayā kar ke use pā.emāl chhoḌ gayā
maiñ us se maañg rahā thā jo ek zaḳhm kī bhiik
vo mere paas zar-e-indimāl chhoḌ gayā
hamein to nashsha-e-hijran nidhaal chhoD gaya
wo KHwan-e-jism pe rizq-e-visal chhoD gaya
lahak raha tha kahin mujh mein koi sabza-e-KHwab
wo aaya kar ke use paemal chhoD gaya
main us se mang raha tha jo ek zaKHm ki bhik
wo mere pas zar-e-indimal chhoD gaya
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 73)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 71)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.