hanste-hanste na sahi ro ke hi kaT jaane do
hañste-hañste na sahī ro ke hī kaT jaane do
kaam jiine kā kisī taur nipaT jaane do
mere hisse kī jo ḳhushiyāñ haiñ vo baT jaane do
dard-e-duniyā mire siine meñ simaT jaane do
ruuh nāshād hai kyoñ fikr-e-tan-e-fānī meñ
tan hai poshāk purānī ise phaT jaane do
sā’at-e-vasl qarīb aa.e kisī bhī sūrat
zindagī apnī jo ghaTtī hai to ghaT jaane do
kab talak koī rahe rain-basere meñ 'sadā'
ab to vāpas mujhe ghar apne palaT jaane do
hanste-hanste na sahi ro ke hi kaT jaane do
kaam jine ka kisi taur nipaT jaane do
mere hisse ki jo KHushiyan hain wo baT jaane do
dard-e-duniya mere sine mein simaT jaane do
ruh nashad hai kyon fikr-e-tan-e-fani mein
tan hai poshak purani ise phaT jaane do
sa’at-e-wasl qarib aae kisi bhi surat
zindagi apni jo ghaTti hai to ghaT jaane do
kab talak koi rahe rain-basere mein 'sada'
ab to wapas mujhe ghar apne palaT jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.