har baat mein mahke hue jazbaat ki KHushbu
har baat meñ mahke hue jazbāt kī ḳhushbū
yaad aa.ī bahut pahlī mulāqāt kī ḳhushbū
chhup-chhup ke na.ī sub.h kā muñh chuum rahī hai
un reshmī zulfoñ meñ basī raat kī ḳhushbū
mausam bhī hasīnoñ kī adā siikh ga.e haiñ
bādal haiñ chhupā.e hue barsāt kī ḳhushbū
ghar kitne hī chhoTe hoñ ghane peḌ mileñge
shahroñ se alag hotī hai qasbāt kī ḳhushbū
hoñToñ pe abhī phuul kī pattī kī mahak hai
sāñsoñ meñ rachī hai tirī sauġhāt kī ḳhushbū
har baat mein mahke hue jazbaat ki KHushbu
yaad aai bahut pahli mulaqat ki KHushbu
chhup-chhup ke nai subh ka munh chum rahi hai
un reshmi zulfon mein basi raat ki KHushbu
mausam bhi hasinon ki ada sikh gae hain
baadal hain chhupae hue barsat ki KHushbu
ghar kitne hi chhoTe hon ghane peD milenge
shahron se alag hoti hai qasbaat ki KHushbu
honTon pe abhi phul ki patti ki mahak hai
sanson mein rachi hai teri saughat ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.