har kahi an-kahi samajhta hai
har kahī an-kahī samajhtā hai
dil tirī ḳhāmushī samajhtā hai
chup yūñhī be-sabab nahīñ rahtā
vo mirī shā.irī samajhtā hai
dil ko uljhā na yuuñ savāloñ meñ
ye tirī sādgī samajhtā hai
har kisī se nahīñ kiyā karte
baat kab har koī samajhtā hai
maiñ samajhtī huuñ jo tujhe hamdam
kyā mujhe tū vahī samajhtā hai
rūThtā hī nahīñ kisī sūrat
dil tirī bebasī samajhtā hai
har kahi an-kahi samajhta hai
dil teri KHamushi samajhta hai
chup yunhi be-sabab nahin rahta
wo meri shairi samajhta hai
dil ko uljha na yun sawalon mein
ye teri sadgi samajhta hai
har kisi se nahin kiya karte
baat kab har koi samajhta hai
main samajhti hun jo tujhe hamdam
kya mujhe tu wahi samajhta hai
ruThta hi nahin kisi surat
dil teri bebasi samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.