har taraf ek tirgi si hai batao kya karen
har taraf ik tīrgī sī hai batāo kyā kareñ
shakl bhī kuchh aadmī sī hai batāo kyā kareñ
vo gayā hai to kafan ke saath hī phir aa.egā
maut bhī ab zindagī sī hai batāo kyā kareñ
jānte haiñ sab magar kyoñ boltā koī nahīñ
har taraf to be-ḳhudī sī hai batāo kyā kareñ
aadmī vo hai burā aur dil meñ us ke hai fareb
par zabāñ par sādgī sī hai batāo kyā kareñ
rāh-e-kū-e-yār meñ bhī sāmnā un se na ho
ik tamanna āḳhirī sī hai batāo kyā kareñ
har taraf ek tirgi si hai batao kya karen
shakl bhi kuchh aadmi si hai batao kya karen
wo gaya hai to kafan ke sath hi phir aaega
maut bhi ab zindagi si hai batao kya karen
jaante hain sab magar kyon bolta koi nahin
har taraf to be-KHudi si hai batao kya karen
aadmi wo hai bura aur dil mein us ke hai fareb
par zaban par sadgi si hai batao kya karen
rah-e-ku-e-yar mein bhi samna un se na ho
ek tamanna aaKHiri si hai batao kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.