hari-bhari thi Tahni surKH gulab ki bhi
harī-bharī thī Tahnī surḳh gulāb kī bhī
'ajab kahānī thī sūkhe tālāb kī bhī
aañkh meñ ek safar hai registānoñ kā
ek masāfat dariyāoñ ke ḳhvāb kī bhī
khule rakho darvāze añdherī rātoñ meñ
kabhī zarūr aa.egī kiran mahtāb kī bhī
hañstī-gātī ābādī ko ujāḌne meñ
hālat ġhair huī hogī sailāb kī bhī
kab tak āḳhir dil kī baat na kahtā 'jamāl'
had hotī hai mahfil ke ādāb kī bhī
hari-bhari thi Tahni surKH gulab ki bhi
'ajab kahani thi sukhe talab ki bhi
aankh mein ek safar hai registanon ka
ek masafat dariyaon ke KHwab ki bhi
khule rakho darwaze andheri raaton mein
kabhi zarur aaegi kiran mahtab ki bhi
hansti-gati aabaadi ko ujaDne mein
haalat ghair hui hogi sailab ki bhi
kab tak aaKHir dil ki baat na kahta 'jamal'
had hoti hai mahfil ke aadab ki bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.