hawa-e-dair-o-haram se bachana paDta hai
havā-e-dair-o-haram se bachānā paḌtā hai
ḳhudā ko siine ke andar chhupānā paḌtā hai
qadam qadam pe lipaTtī hai ḳhaak qadmoñ se
aur āsmān ko sar par uThānā paḌtā hai
shab-e-siyāh kā mahram nahīñ huā ab tak
ba-vaqt-e-shām ye sūraj bujhānā paḌtā hai
farishta hone se mushkil hai aadmī honā
ki aadmī ko zamīnoñ pe aanā paḌtā hai
udhar chale ho to patthar bhī haath meñ le lo
ki rāste meñ ik ā.īna-ḳhāna paḌtā hai
batā.eñ aap hī jannat meñ kis tarah jaa.eñ
hameñ to dāna-e-gandum bhī khānā paḌtā hai
hawa-e-dair-o-haram se bachana paDta hai
KHuda ko sine ke andar chhupana paDta hai
qadam qadam pe lipaTti hai KHak qadmon se
aur aasman ko sar par uThana paDta hai
shab-e-siyah ka mahram nahin hua ab tak
ba-waqt-e-sham ye suraj bujhana paDta hai
farishta hone se mushkil hai aadmi hona
ki aadmi ko zaminon pe aana paDta hai
udhar chale ho to patthar bhi hath mein le lo
ki raste mein ek aaina-KHana paDta hai
bataen aap hi jannat mein kis tarah jaen
hamein to dana-e-gandum bhi khana paDta hai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 49)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.