hawa-e-tund hai be-samt-o-be-qarina bhi
havā-e-tund hai be-samt-o-be-qarīna bhī
ravāñ-davāñ isī aalam meñ hai safīna bhī
ḳharāsh-e-zehn bhī hai zīnat-e-nigāh bhī hai
ye zindagī ḳhas-o-ḳhāshāk bhī nagīna bhī
ye chashm-e-nam ki hai dānā-e-ġham baḌī shai hai
chhupā huā hai isī ḳhaak meñ ḳhazīna bhī
khilā gulāb to manzar badal gayā saarā
jamāl-e-sub.h bhī hairat bhī ābgīna bhī
baras rahī hai havā-e-tarab to yaad aayā
machal rahī hai fazā meñ navā-e-sīna bhī
hazār lutf-o-ināyat ba-pā.emālī-e-dil
milā hai husn-e-ḳhudā-dād ko qarīna bhī
hawa-e-tund hai be-samt-o-be-qarina bhi
rawan-dawan isi aalam mein hai safina bhi
KHarash-e-zehn bhi hai zinat-e-nigah bhi hai
ye zindagi KHas-o-KHashak bhi nagina bhi
ye chashm-e-nam ki hai dana-e-gham baDi shai hai
chhupa hua hai isi KHak mein KHazina bhi
khila gulab to manzar badal gaya sara
jamal-e-subh bhi hairat bhi aabgina bhi
baras rahi hai hawa-e-tarab to yaad aaya
machal rahi hai faza mein nawa-e-sina bhi
hazar lutf-o-inayat ba-paemali-e-dil
mila hai husn-e-KHuda-dad ko qarina bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.