hawa se rishta mera ustuwar hote hue
havā se rishta mirā ustuvār hote hue
vo dekhtā rahā mujh ko ġhubār hote hue
lagā huuñ tajraba-e-zaḳhm meñ so ab mire paas
koī na aa.e mirā ġham-gusār hote hue
nikal hī jaatā maiñ zindān-e-roz-o-shab se magar
pakaḌ liyā gayā mujh ko farār hote hue
hawa se rishta mera ustuwar hote hue
wo dekhta raha mujh ko ghubar hote hue
laga hun tajraba-e-zaKHm mein so ab mere pas
koi na aae mera gham-gusar hote hue
nikal hi jata main zindan-e-roz-o-shab se magar
pakaD liya gaya mujh ko farar hote hue
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 116)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 62)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.