hisab-e-‘umr jab dena paDega
hisāb-e-‘umr jab denā paḌegā
to jam’-o-ḳharch kā jhagḌā paḌegā
hameñ hogā ḳhasāra 'umr-bhar kā
tujhe saudā bahut mahñgā paḌegā
banī jo sulh kā bā'is kisī din
usī dīvār kā jhagḌā paḌegā
qadam ulTe jahāñ paḌne lageñge
vahāñ se rāsta sīdhā paḌegā
ḳharāba hī koī ābād kar lo
na jaane kab talak rahnā paḌegā
havā kā ruḳh badalne kī talab meñ
havā ke saath bhī chalnā paḌegā
shajar bhī kāTne haiñ āñganoñ se
parindoñ kā bhī dil rakhnā paḌegā
dorāhe par khaḌe kab tak rahoge
koī to faisla karnā paḌegā
hisab-e-‘umr jab dena paDega
to jam’-o-KHarch ka jhagDa paDega
hamein hoga KHasara 'umr-bhar ka
tujhe sauda bahut mahnga paDega
bani jo sulh ka ba'is kisi din
usi diwar ka jhagDa paDega
qadam ulTe jahan paDne lagenge
wahan se rasta sidha paDega
KHaraba hi koi aabaad kar lo
na jaane kab talak rahna paDega
hawa ka ruKH badalne ki talab mein
hawa ke sath bhi chalna paDega
shajar bhi kaTne hain aanganon se
parindon ka bhi dil rakhna paDega
dorahe par khaDe kab tak rahoge
koi to faisla karna paDega
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 50)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.