hua chali to mere jism ne kaha mujhko
havā chalī to mire jism ne kahā mujh ko
akelā chhoḌ ke tū bhī kahāñ chalā mujh ko
maiñ kab se DhūñDhtā phirtā huuñ apnī qismat ko
ye tere haath meñ kyā hai zarā dikhā mujh ko
dahaktī jaltī huī dopahar milī lekin
kisī daraḳht kā saayā na mil sakā mujh ko
maiñ apne room kī battī jalā.e baiThā huuñ
are ye shaam se pahle hī kyā huā mujh ko
balā ke shor meñ Duubī huī sadā huuñ maiñ
kisī se kyā kahūñ maiñ ne bhī kab sunā mujh ko
vo koī aur hai 'alvī' jo sher kahtā hai
tum is ke jurm kī dete ho kyuuñ sazā mujh ko
hawa chali to mere jism ne kaha mujh ko
akela chhoD ke tu bhi kahan chala mujh ko
main kab se DhunDhta phirta hun apni qismat ko
ye tere hath mein kya hai zara dikha mujh ko
dahakti jalti hui dopahar mili lekin
kisi daraKHt ka saya na mil saka mujh ko
main apne room ki batti jalae baiTha hun
are ye sham se pahle hi kya hua mujh ko
bala ke shor mein Dubi hui sada hun main
kisi se kya kahun main ne bhi kab suna mujh ko
wo koi aur hai 'alwi' jo sher kahta hai
tum is ke jurm ki dete ho kyun saza mujh ko
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 44)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.