huquq jab yaad aae apne
huqūq jab yaad aa.e apne
ġhulām par muskurā.e apne
bahut janāze the rāste meñ
qadam bhī ham gin na paa.e apne
vo kaun sī rāz-dāriyāñ thiiñ
ki saa.e bāhar biThā.e apne
havā ne āñdhī kī shakl le kar
tamām qaidī chhuḌā.e apne
ik aur din kī hai aamad aamad
ḳhudā ne mohre sajā.e apne
khaḌe haiñ lāshoñ ke darmiyāñ ham
imām-zāmin bañdhā.e apne
kiyā hī kyā aur zindagī bhar
badan ke naḳhre uThā.e apne
kisī kā dushman nahīñ thā dariyā
bhañvar to ham saath laa.e apne
yahī to mahfil bigāḌte haiñ
jo haiñ yahāñ bin-bulā.e apne
huquq jab yaad aae apne
ghulam par muskurae apne
bahut janaze the raste mein
qadam bhi hum gin na pae apne
wo kaun si raaz-dariyan thin
ki sae bahar biThae apne
hawa ne aandhi ki shakl le kar
tamam qaidi chhuDae apne
ek aur din ki hai aamad aamad
KHuda ne mohre sajae apne
khaDe hain lashon ke darmiyan hum
imam-zamin bandhae apne
kiya hi kya aur zindagi bhar
badan ke naKHre uThae apne
kisi ka dushman nahin tha dariya
bhanwar to hum sath lae apne
yahi to mahfil bigaDte hain
jo hain yahan bin-bulae apne
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 107)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.