ijz-e-ahl-e-sitam ki baat karo
ijz-e-ahl-e-sitam kī baat karo
ishq ke dam-qadam kī baat karo
bazm-e-ahl-e-tarab ko sharmāo
bazm-e-as.hāb-e-ġham kī baat karo
bazm-e-sarvat ke ḳhush-nashīnoñ se
azmat-e-chashm-e-nam kī baat karo
hai vahī baat yuuñ bhī aur yuuñ bhī
tum sitam yā karam kī baat karo
ḳhair haiñ ahl-e-dair jaise haiñ
aap ahl-e-haram kī baat karo
hijr kī shab to kaT hī jā.egī
roz-e-vasl-e-sanam kī baat karo
jaan jā.eñge jānñe vaale
'faiz' farhād o jam kī baat karo
ijz-e-ahl-e-sitam ki baat karo
ishq ke dam-qadam ki baat karo
bazm-e-ahl-e-tarab ko sharmao
bazm-e-ashab-e-gham ki baat karo
bazm-e-sarwat ke KHush-nashinon se
azmat-e-chashm-e-nam ki baat karo
hai wahi baat yun bhi aur yun bhi
tum sitam ya karam ki baat karo
KHair hain ahl-e-dair jaise hain
aap ahl-e-haram ki baat karo
hijr ki shab to kaT hi jaegi
roz-e-wasl-e-sanam ki baat karo
jaan jaenge jaanne wale
'faiz' farhad o jam ki baat karo
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 139)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.