ek aan mein hui ojhal zamin nigahon se
ik aan meñ huī ojhal zamīñ nigāhoñ se
koī pukārne vaalā nahīñ nigāhoñ se
ḳhudā gunāh kī lazzat ko barqarār rakhe
na dekh aise mujhe ḳhashmagīñ nigāhoñ se
ġhazal ke husn ko darkār nāzirīn nahīñ
ziyāda kaam na leñ sāma’īñ nigāhoñ se
tamām phuul mujhe rang se lubhāte the
tamām raushniyāñ yaad thiiñ nigāhoñ se
shurū’-e-‘ishq meñ kam paḌ ga.e the jab alfāz
ka.ī zabāneñ tarāshī ga.iiñ nigāhoñ se
maiñ āsmān pe thā tum ko yaad to hogā
mujhe utārā gayā bā’d-azīñ nigāhoñ se
mire vo she'r bhī aa.e pasand us ko vaah
chhupā rakhā thā jinheñ nukta-bīñ nigāhoñ se
ek aan mein hui ojhal zamin nigahon se
koi pukarne wala nahin nigahon se
KHuda gunah ki lazzat ko barqarar rakhe
na dekh aise mujhe KHashmagin nigahon se
ghazal ke husn ko darkar nazirin nahin
ziyaada kaam na len sama’in nigahon se
tamam phul mujhe rang se lubhate the
tamam raushniyan yaad thin nigahon se
shuru’-e-‘ishq mein kam paD gae the jab alfaz
kai zabanen tarashi gain nigahon se
main aasman pe tha tum ko yaad to hoga
mujhe utara gaya ba’d-azin nigahon se
mere wo she'r bhi aae pasand us ko wah
chhupa rakha tha jinhen nukta-bin nigahon se
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 86)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.