ek nadi mauj-dar-mauj pahlu badalti rahi
ik nadī mauj-dar-mauj pahlū badaltī rahī
ek kashtī baḌe rakh-rakhāv se chaltī rahī
ik parinda huā āb-o-dāne kī ḳhvāhish meñ gum
ek Tahnī ke dukh meñ havā haath maltī rahī
ik sitāra kahīñ āsmāñ par ulajhtā rahā
ek añgnā.ī meñ rāt-bhar aag jaltī rahī
ik shajar shāḳh se shāḳh ke fāsloñ par jiyā
ek dīvār do ghar bichhaḌne se paltī rahī
ik sadā ne ka.ī jaal sahrāoñ par bun diye
ek sargoshī ābādiyoñ ko nigaltī rahī
ik masāfat mukammal huī niiñd hī niiñd meñ
ek sapne meñ din kī thakan pankh jhaltī rahī
ik darīcha bulātā rahā apnī āġhosh meñ
ek āvārgī ghar se le kar nikaltī rahī
ek nadi mauj-dar-mauj pahlu badalti rahi
ek kashti baDe rakh-rakhaw se chalti rahi
ek parinda hua aab-o-dane ki KHwahish mein gum
ek Tahni ke dukh mein hawa hath malti rahi
ek sitara kahin aasman par ulajhta raha
ek angnai mein raat-bhar aag jalti rahi
ek shajar shaKH se shaKH ke faslon par jiya
ek diwar do ghar bichhaDne se palti rahi
ek sada ne kai jal sahraon par bun diye
ek sargoshi aabaadiyon ko nigalti rahi
ek masafat mukammal hui nind hi nind mein
ek sapne mein din ki thakan pankh jhalti rahi
ek daricha bulata raha apni aaghosh mein
ek aawargi ghar se le kar nikalti rahi
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 107)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.