ek zamana guzar gaya hai mujhe
ik zamāna guzar gayā hai mujhe
ik ḳhudā ne gale lagāyā thā
jo mire saath chalā aayā thā
terī āvāz kā hī saayā thā
maiñ ne āvāz dobāra dī hai
shāyad ik baar sun na paayā thā
terī peshānī ke sitāre ko
dil mirā chūmne ko aayā thā
ek zanjīr kholnī hogī
ek paañv agar uThāyā thā
ek ḳhushbū mujhe bulātī hai
ik tamannā ne sar uThāyā thā
ab tirī hārne kī baarī hai
jiit kā shauq jo churāyā thā
be-sabab talḳhiyāñ nahīñ hotīñ
zahr barsoñ mujhe pilāyā thā
ek zamana guzar gaya hai mujhe
ek KHuda ne gale lagaya tha
jo mere sath chala aaya tha
teri aawaz ka hi saya tha
main ne aawaz dobara di hai
shayad ek bar sun na paya tha
teri peshani ke sitare ko
dil mera chumne ko aaya tha
ek zanjir kholni hogi
ek panw agar uThaya tha
ek KHushbu mujhe bulati hai
ek tamanna ne sar uThaya tha
ab teri haarne ki bari hai
jit ka shauq jo churaya tha
be-sabab talKHiyan nahin hotin
zahr barson mujhe pilaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.