is bar to ghurur-e-hunar bhi nikal gaya
is baar to ġhurūr-e-hunar bhī nikal gayā
bach kar vo mujh se bār-e-digar bhī nikal gayā
itnā tirā visāl to chāhā na thā kabhī
dil se tirī judā.ī kā Dar bhī nikal gayā
ham raah ke ta'ayyun-e-jāñ-kāh meñ rahe
is kashmakash meñ vaqt-e-safar bhī nikal gayā
maqsūd sirf DhūñDhnā kab thā tujhe so maiñ
jis samt tū nahīñ thā udhar bhī nikal gayā
kahtā na thā miyāna-ravī hai burī 'jamāl'
sahrā ke saath haath se ghar bhī nikal gayā
is bar to ghurur-e-hunar bhi nikal gaya
bach kar wo mujh se bar-e-digar bhi nikal gaya
itna tera visal to chaha na tha kabhi
dil se teri judai ka Dar bhi nikal gaya
hum rah ke ta'ayyun-e-jaan-kah mein rahe
is kashmakash mein waqt-e-safar bhi nikal gaya
maqsud sirf DhunDhna kab tha tujhe so main
jis samt tu nahin tha udhar bhi nikal gaya
kahta na tha miyana-rawi hai buri 'jamal'
sahra ke sath hath se ghar bhi nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.