is jazire ki kya hawa hai dost
is jazīre kī kyā havā hai dost
ik musāfir kī iltijā hai dost
paas rah kar bhī mil nahīñ sakte
ye aziyyat kī intihā hai dost
maiñ añdheroñ se laḌne vaalā huuñ
ye charāġhoñ kā mas.ala hai dost
jo tujhe dekhne ko aa.e the
koī zinda nahīñ rahā hai dost
koī qīmat nahīñ rahī merī
ye jo dariyā hai bah chukā hai dost
tū bhī ik din bichhaḌ hī jā.egā
kaun qismat se laḌ sakā hai dost
ab sabhī raaz munkashif hoñge
ye haqīqat kā aa.ina hai dost
merī sāñsoñ se ḳhuun ristā hai
is aziyyat kā naam kyā hai dost
is jazire ki kya hawa hai dost
ek musafir ki iltija hai dost
pas rah kar bhi mil nahin sakte
ye aziyyat ki intiha hai dost
main andheron se laDne wala hun
ye charaghon ka masala hai dost
jo tujhe dekhne ko aae the
koi zinda nahin raha hai dost
koi qimat nahin rahi meri
ye jo dariya hai bah chuka hai dost
tu bhi ek din bichhaD hi jaega
kaun qismat se laD saka hai dost
ab sabhi raaz munkashif honge
ye haqiqat ka aaina hai dost
meri sanson se KHun rista hai
is aziyyat ka nam kya hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.