ishq mein rah se jo lauT ke ghar jata hai
'ishq meñ raah se jo lauT ke ghar jaatā hai
zindagī-bhar ko pas-e-kūcha-o-dar jaatā hai
log is shahr ke ab kam hī du'ā māñgte haiñ
chāñd is shahr se ab yūñhī guzar jaatā hai
hijr meñ aise añdhere bhī na dekhe koī
dil muñDeroñ pe diye dekh ke Dar jaatā hai
roz chaḌh jaatī hai ik aur parat sūraj kī
roz dīvār se ik saaya utar jaatā hai
kaisī nīñdeñ haiñ ki band āñkheñ jagātī haiñ mujhe
kaisā sapnā hai ki har raat bikhar jaatā hai
yuuñ guzartā hai bas ab dil se tire vasl kā dhyān
jaise pardes meñ tyauhār guzar jaatā hai
kāsa-e-ranj hamesha rahā labrez 'jamāl'
aañkh ḳhālī ho to dil dard se bhar jaatā hai
'ishq mein rah se jo lauT ke ghar jata hai
zindagi-bhar ko pas-e-kucha-o-dar jata hai
log is shahr ke ab kam hi du'a mangte hain
chand is shahr se ab yunhi guzar jata hai
hijr mein aise andhere bhi na dekhe koi
dil munDeron pe diye dekh ke Dar jata hai
roz chaDh jati hai ek aur parat suraj ki
roz diwar se ek saya utar jata hai
kaisi ninden hain ki band aankhen jagati hain mujhe
kaisa sapna hai ki har raat bikhar jata hai
yun guzarta hai bas ab dil se tere wasl ka dhyan
jaise pardes mein tyauhaar guzar jata hai
kasa-e-ranj hamesha raha labrez 'jamal'
aankh KHali ho to dil dard se bhar jata hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 65)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.