itna apna ho jata hun
itnā apnā ho jaatā huuñ
chādar takiya ho jaatā huuñ
tujh ko kamāne ke chakkar meñ
terā ḳhasāra ho jaatā huuñ
bāzāroñ kī chamak-damak meñ
aur purānā ho jaatā huuñ
jis kī piiTh ho merī jānib
us kā saaya ho jaatā huuñ
khone tak to Thiik hai lekin
DhūñDhne vaalā ho jaatā huuñ
sach kī shakl badal jaatī hai
aur maiñ jhūTā ho jaatā huuñ
ḳhud hī tamāsha karte karte
mahv-e-tamāshā ho jaatā huuñ
lagtā ye hai mar jā.uñgā
lekin achchhā ho jaatā huuñ
itna apna ho jata hun
chadar takiya ho jata hun
tujh ko kamane ke chakkar mein
tera KHasara ho jata hun
bazaron ki chamak-damak mein
aur purana ho jata hun
jis ki piTh ho meri jaanib
us ka saya ho jata hun
khone tak to Thik hai lekin
DhunDhne wala ho jata hun
sach ki shakl badal jati hai
aur main jhuTa ho jata hun
KHud hi tamasha karte karte
mahw-e-tamasha ho jata hun
lagta ye hai mar jaunga
lekin achchha ho jata hun
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 82)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.