izhaar-e-sadaqat mein asar kyon nahin hota
iz.hār-e-sadāqat meñ asar kyoñ nahīñ hotā
ab merī taraf un kā guzar kyoñ nahīñ hotā
ḳhushbū kā ye bikhrāv bhī tauhīn-e-chaman hai
ehsās tujhe bād-e-sahar kyoñ nahīñ hotā
kyoñ fikr se mahrūm haiñ is daur kī nasleñ
pahlā sā zabānoñ meñ asar kyoñ nahīñ hotā
jo baat idhar hai vo udhar kyoñ nahīñ jaatī
jo karb idhar hai vo udhar kyoñ nahīñ hotā
is shahr-e-zabūñ-hāl meñ taḳhrīb kā ehsās
honā to zarūrī hai magar kyoñ nahīñ hotā
fankār isī kashmakash-e-vaqt meñ gum haiñ
bāzār ḳharīdār-e-hunar kyoñ nahīñ hotā
allāh ko karte haiñ musībat meñ sabhī yaad
ye vird magar shām-o-sahar kyoñ nahīñ hotā
ḳhud-bīñ haiñ sabhī aur ye batāne se haiñ mā’zūr
ā.īne se nuqsān-e-nazar kyoñ nahīñ hotā
peshānī-e-kohsār pe sūraj kā hai mīlād
vaadī meñ magar shor-e-sahar kyoñ nahīñ hotā
ho jis ke payambar kā guzar ‘arsh-e-barīñ par
ummat kā sitāroñ meñ safar kyoñ nahīñ hotā
hairāñ huuñ ki 'iqbāl' kī tā'līm kā 'dānish'
is shahr ke logoñ pe asar kyoñ nahīñ hotā
izhaar-e-sadaqat mein asar kyon nahin hota
ab meri taraf un ka guzar kyon nahin hota
KHushbu ka ye bikhraw bhi tauhin-e-chaman hai
ehsas tujhe baad-e-sahar kyon nahin hota
kyon fikr se mahrum hain is daur ki naslen
pahla sa zabanon mein asar kyon nahin hota
jo baat idhar hai wo udhar kyon nahin jati
jo karb idhar hai wo udhar kyon nahin hota
is shahr-e-zabun-haal mein taKHrib ka ehsas
hona to zaruri hai magar kyon nahin hota
fankar isi kashmakash-e-waqt mein gum hain
bazar KHaridar-e-hunar kyon nahin hota
allah ko karte hain musibat mein sabhi yaad
ye wird magar sham-o-sahar kyon nahin hota
KHud-bin hain sabhi aur ye batane se hain ma’zur
aaine se nuqsan-e-nazar kyon nahin hota
peshani-e-kohsar pe suraj ka hai milad
wadi mein magar shor-e-sahar kyon nahin hota
ho jis ke payambar ka guzar ‘arsh-e-barin par
ummat ka sitaron mein safar kyon nahin hota
hairan hun ki 'iqbaal' ki ta'lim ka 'danish'
is shahr ke logon pe asar kyon nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.