ja-e-asudgi kahan hai aaj
jā-e-āsūdgī kahāñ hai aaj
jo zamīñ kal thī āsmāñ hai aaj
tum vahāñ the to dil vahāñ thā kal
tum yahāñ ho to dil yahāñ hai aaj
ishq ko ibtidā meñ ham samjhe
fitna-e-āḳhiruzzamāñ hai aaj
kal adā dil kā haal ho ki na ho
sun lo goyā mirī zabāñ hai aaj
aarzū vasl kī shahīd huī
mātam-e-marg-e-naujavāñ hai aaj
is hadaf par lagā.eñge vo tiir
dil-nashīñ 'dāġh' kā nishāñ hai aaj
ja-e-asudgi kahan hai aaj
jo zamin kal thi aasman hai aaj
tum wahan the to dil wahan tha kal
tum yahan ho to dil yahan hai aaj
ishq ko ibtida mein hum samjhe
fitna-e-aKHiruzzaman hai aaj
kal ada dil ka haal ho ki na ho
sun lo goya meri zaban hai aaj
aarzu wasl ki shahid hui
matam-e-marg-e-naujawan hai aaj
is hadaf par lagaenge wo tir
dil-nashin 'dagh' ka nishan hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.