jab mujhe kaam ka bataya gaya
jab mujhe kaam kā batāyā gayā
aur bhī mujh pe zulm Dhāyā gayā
aur to ham se kyā kamāyā gayā
terā ġham thā so bech khāyā gayā
us kā pahlā savāl vāpsī par
rāsta kyoñ nahīñ sajāyā gayā
ho chuke the balā ke ham tairāk
jab hameñ Dūbnā sikhāyā gayā
har ġhazal ke javāb meñ merī
ek bāzārū giit gaayā gayā
thā koī raaz be-zabānī kā
jis ko āvāz meñ chhupāyā gayā
chāq-o-chauband mujh ko rahnā paḌā
mere itnā qarīb aayā gayā
jab mujhe kaam ka bataya gaya
aur bhi mujh pe zulm Dhaya gaya
aur to hum se kya kamaya gaya
tera gham tha so bech khaya gaya
us ka pahla sawal wapsi par
rasta kyon nahin sajaya gaya
ho chuke the bala ke hum tairak
jab hamein Dubna sikhaya gaya
har ghazal ke jawab mein meri
ek bazaru git gaya gaya
tha koi raaz be-zabani ka
jis ko aawaz mein chhupaya gaya
chaq-o-chauband mujh ko rahna paDa
mere itna qarib aaya gaya
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 85)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.