jab se humne bazuon mein zor paida kar liya
jab se ham ne bāzuoñ meñ zor paidā kar liyā
jism-o-jāñ kī ḳhāmushī meñ shor paidā kar liyā
ruuh meñ chamke 'ajab kuchh rang is barsāt meñ
ham ne bhī jangal meñ apnā mor paidā kar liyā
ho gayā thā jam' āñkhoñ meñ bahut ḳhvāboñ kā maal
chashm-e-tar kī shakl meñ ik chor paidā kar liyā
jangaloñ ko kaaT kar kaisā ġhazab ham ne kiyā
shahr jaisā ek ādam-ḳhor paidā kar liyā
matla’-e-jāñ har ghaḌī rahtā hai abr-ālūd-e-she'r
ham ne ye bādal 'ajab ghanghor paidā kar liyā
ek khiḌkī sī khulī rakkhī hai duniyā kī taraf
ik baḌā darvāza apnī or paidā kar liyā
ham rahe 'ehsās' jī ke halqa-e-tadrīs meñ
apne she'roñ meñ balā kā zor paidā kar liyā
jab se hum ne bazuon mein zor paida kar liya
jism-o-jaan ki KHamushi mein shor paida kar liya
ruh mein chamke 'ajab kuchh rang is barsat mein
hum ne bhi jangal mein apna mor paida kar liya
ho gaya tha jam' aankhon mein bahut KHwabon ka mal
chashm-e-tar ki shakl mein ek chor paida kar liya
jangalon ko kaT kar kaisa ghazab hum ne kiya
shahr jaisa ek aadam-KHor paida kar liya
matla’-e-jaan har ghaDi rahta hai abr-alud-e-she'r
hum ne ye baadal 'ajab ghanghor paida kar liya
ek khiDki si khuli rakkhi hai duniya ki taraf
ek baDa darwaza apni or paida kar liya
hum rahe 'ehsas' ji ke halqa-e-tadris mein
apne she'ron mein bala ka zor paida kar liya
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 42)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.