jahan badalne ka wo bhi guman rakhte hain
jahāñ badalne kā vo bhī gumān rakhte haiñ
jo ghar ke naqshe meñ pahle dukān rakhte haiñ
ham apne jism meñ rakhte haiñ ik zamīñ kī mahak
ham apnī ruuh meñ ik āsmān rakhte haiñ
mire ḳhudā ne vo dushman mujhe nasīb kiye
jo apne tiir se chhoTī kamān rakhte haiñ
kisī kī nīm-nigāhī se jalne lagtā hai
vo jis charāġh meñ ham apnī jaan rakhte haiñ
'abas hai un se tavaqqo' koī zamāne meñ
jo log nashshe meñ bhī apnā dhyān rakhte haiñ
har anjuman meñ alag se dikhā.ī dete haiñ
koī fazā ho ham apnī uḌaan rakhte haiñ
hameñ kisī shajar-e-rāh par bharosa nahīñ
kisī kī zulf ko ham sā.ebān rakhte haiñ
jahan badalne ka wo bhi guman rakhte hain
jo ghar ke naqshe mein pahle dukan rakhte hain
hum apne jism mein rakhte hain ek zamin ki mahak
hum apni ruh mein ek aasman rakhte hain
mere KHuda ne wo dushman mujhe nasib kiye
jo apne tir se chhoTi kaman rakhte hain
kisi ki nim-nigahi se jalne lagta hai
wo jis charagh mein hum apni jaan rakhte hain
'abas hai un se tawaqqo' koi zamane mein
jo log nashshe mein bhi apna dhyan rakhte hain
har anjuman mein alag se dikhai dete hain
koi faza ho hum apni uDan rakhte hain
hamein kisi shajar-e-rah par bharosa nahin
kisi ki zulf ko hum saeban rakhte hain
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 125)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.