Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai

Bhartendu Harishchandra

jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai

Bhartendu Harishchandra

MORE BYBhartendu Harishchandra

    jahāñ dekho vahāñ maujūd merā kirshn pyārā hai

    usī sab hai jalva jo jahāñ meñ āshkārā hai

    bhalā maḳhlūq ḳhāliq sifat samjhe kahāñ qudrat

    usī se neti neti ai yaar dīdoñ ne pukārā hai

    na kuchh chārā chalā lāchār chāroñ haar kar baiThe

    bichāre bed ne pyāre bahut tum ko bechāra hai

    jo kuchh kahte haiñ ham ye bhī tirā jalva hai ik varna

    kise tāqat jo muñh khole yahāñ har shaḳhs haarā hai

    tirā dam bharte haiñ hindū agar nāqūs bajtā hai

    tujhe bhī shaiḳh ne pyāre azaañ de kar pukārā hai

    jo but patthar haiñ to ka.abe meñ kyā juz-ḳhāk-o-patthar haiñ

    bahut bhūlā hai vo is farq meñ sar jis ne maarā hai

    na hote jalva-gar tum to ye girjā kab gir jaatā

    nasārā ko bhī to āḳhir tumhārā sahārā hai

    tumhārā nuur hai har shai meñ kah so koī tak pyāre

    usī se kah ke har har tum ko hindū ne pukārā hai

    gunah baḳhsho rasā.ī do 'rasā' ko apne qadmoñ tak

    burā hai bhalā hai jaisā hai pyāre tumhārā hai

    jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai

    usi ka sab hai jalwa jo jahan mein aashkara hai

    bhala maKHluq KHaliq ki sifat samjhe kahan qudrat

    usi se neti neti ai yar didon ne pukara hai

    na kuchh chaara chala lachaar chaaron haar kar baiThe

    bichaare bed ne pyare bahut tum ko bechaara hai

    jo kuchh kahte hain hum ye bhi tera jalwa hai ek warna

    kise taqat jo munh khole yahan har shaKHs haara hai

    tera dam bharte hain hindu agar naqus bajta hai

    tujhe bhi shaiKH ne pyare azan de kar pukara hai

    jo but patthar hain to kabe mein kya juz-KHak-o-patthar hain

    bahut bhula hai wo is farq mein sar jis ne mara hai

    na hote jalwa-gar tum to ye girja kab ka gir jata

    nasara ko bhi to aaKHir tumhaara hi sahaara hai

    tumhaara nur hai har shai mein kah so koi tak pyare

    usi se kah ke har har tum ko hindu ne pukara hai

    gunah baKHsho rasai do 'rasa' ko apne qadmon tak

    bura hai ya bhala hai jaisa hai pyare tumhaara hai

    Source:

    Bhartendu Samagr (Pg. 270)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now