jalwa-e-saqi-o-mai jaan liye lete hain
jalva-e-sāqī-o-mai jaan liye lete haiñ
shaiḳh jī zabt kareñ ham to piye lete haiñ
dil meñ yaad un kī jo aate hue sharmātī hai
dard uThtā hai ki ham aaḌ kiye lete haiñ
daur-e-tahzīb meñ pariyoñ kā huā duur naqāb
ham bhī ab chāk-e-garebāñ ko siye lete haiñ
ḳhud-kushī man' ḳhushī gum ye qayāmat hai magar
jiinā hī kitnā hai ab ḳhair jiye lete haiñ
muddat-e-vasl ko parvāne se pūchheñ ushshāq
vo maza kyā hai jo be-jān-diye lete haiñ
jalwa-e-saqi-o-mai jaan liye lete hain
shaiKH ji zabt karen hum to piye lete hain
dil mein yaad un ki jo aate hue sharmati hai
dard uThta hai ki hum aaD kiye lete hain
daur-e-tahzib mein pariyon ka hua dur naqab
hum bhi ab chaak-e-gareban ko siye lete hain
KHud-kushi man' KHushi gum ye qayamat hai magar
jina hi kitna hai ab KHair jiye lete hain
muddat-e-wasl ko parwane se puchhen ushshaq
wo maza kya hai jo be-jaan-diye lete hain
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 90)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.