jise bhi hon adab-adab dekh sakta hai
jise bhī hoñ adab-ādāb dekh saktā hai
koī bhī shaḳhs tire ḳhvāb dekh saktā hai
tirī nigāh se duniyā ko dekhne vaalā
charāġh ko pas-e-mehrāb dekh saktā hai
ye kah ke izn-e-safar de diyā gayā mujh ko
ki tū sitāre ko mahtāb dekh saktā hai
du'ā-o-ashk kī gaThrī sañbhāl ke rakhnā
kisī bhī vaqt vo asbāb dekh saktā hai
vo jis ne dekh liyā hai use nazar-bhar ke
pas-e-ġhubār-o-tah-e-āb dekh saktā hai
na apne hijr meñ pazhmurda pā ke ḳhush hai hameñ
na apne vasl meñ shādāb dekh saktā hai
na chāhtā hai ki ham hālat-e-sukūñ meñ raheñ
na apne 'ishq meñ betāb dekh saktā hai
'jamāl' jis ko bhī shak ho hamārī bātoñ par
hamārā halqa-e-ahbāb dekh saktā hai
jise bhi hon adab-adab dekh sakta hai
koi bhi shaKHs tere KHwab dekh sakta hai
teri nigah se duniya ko dekhne wala
charagh ko pas-e-mehrab dekh sakta hai
ye kah ke izn-e-safar de diya gaya mujh ko
ki tu sitare ko mahtab dekh sakta hai
du'a-o-ashk ki gaThri sanbhaal ke rakhna
kisi bhi waqt wo asbab dekh sakta hai
wo jis ne dekh liya hai use nazar-bhar ke
pas-e-ghubar-o-tah-e-ab dekh sakta hai
na apne hijr mein pazhmurda pa ke KHush hai hamein
na apne wasl mein shadab dekh sakta hai
na chahta hai ki hum haalat-e-sukun mein rahen
na apne 'ishq mein betab dekh sakta hai
'jamal' jis ko bhi shak ho hamari baaton par
hamara halqa-e-ahbab dekh sakta hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 81)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.