jism uske gham mein zard-az-na-tawani ho gaya
jism us ke ġham meñ zard-az-nā-tavānī ho gayā
jāma-e-uryānī apnā za.afrānī ho gayā
be-takalluf ho jo baiThā khol chhātī ke kivāḌ
ā.īna ho munfa.il dekh us ko paanī ho gayā
kyā huā bahkā.e se tere bhalā ab ai raqīb
āḳhirash us ne hamārī baat maanī ho gayā
jaag ai ġhāfil ki piirī kī huī terī sahar
kaT ga.ī ġhaflat kī shab ahd-e-javānī ho gayā
jism us ke gham mein zard-az-na-tawani ho gaya
jama-e-uryani apna zafrani ho gaya
be-takalluf ho jo baiTha khol chhati ke kiwaD
aaina ho munfail dekh us ko pani ho gaya
kya hua bahkae se tere bhala ab ai raqib
aaKHirash us ne hamari baat mani ho gaya
jag ai ghafil ki piri ki hui teri sahar
kaT gai ghaflat ki shab ahd-e-jawani ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.