jo agla panw dharne ke liye thi
jo aglā paañv dharne ke liye thī
vahī sīḌhī utarne ke liye thī
agar itnī hī gahrī thī udāsī
to phir vo raat marne ke liye thī
agar vo āñsuoñ se nam na kartā
ye miTTī to bikharne ke liye thī
jo pīchhe pīchhe aa.ī thī vo bārish
havā ke par katarne ke liye thī
akele the ham us anjān ghar meñ
bas ik parchhā.īñ Darne ke liye thī
ḳhudā ko dar-ba-dar karne kī koshish
tujhe ābād karne ke liye thī
jo agla panw dharne ke liye thi
wahi siDhi utarne ke liye thi
agar itni hi gahri thi udasi
to phir wo raat marne ke liye thi
agar wo aansuon se nam na karta
ye miTTi to bikharne ke liye thi
jo pichhe pichhe aai thi wo barish
hawa ke par katarne ke liye thi
akele the hum us anjaan ghar mein
bas ek parchhain Darne ke liye thi
KHuda ko dar-ba-dar karne ki koshish
tujhe aabaad karne ke liye thi
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 105)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.