jo haq pe chalta hai sach ka nishan khinchta hai
jo haq pe chalta hai sach ka nishan khinchta hai
Saqib Qamri Misbahi
MORE BYSaqib Qamri Misbahi
jo haq pe chaltā hai sach kā nishān khīñchtā hai
usī kī khaal to saarā jahān khīñchtā hai
savār asp kī jaise ‘inān khīñchtā hai
mirī ḳhatā pe vo vaise hī kaan khīñchtā hai
maiñ us ke sāmne sīna-sipar hī rahtā huuñ
vo jab kamīn se apnā kamān khīñchtā hai
vo pahle sāmne rakkhe kisān kā ḳhāka
agar kahīñ koī tasvīr naan khīñchtā hai
kisī mahāz pe jab bhī nikalnā chāhtā huuñ
to mere paañv ko kul ḳhāndān khīñchtā hai
hamīñ muhāfiz-e-nāmūs-e-'ishq-o-'irfāñ haiñ
hamīñ pe har koī teġh-o-sinān khīñchtā hai
kisī bhī haal meñ martā nahīñ mirā kirdār
koī jo silsila-e-dāstān khīñchtā hai
maiñ ek aisā hī ḳhāna-ba-dosh huuñ 'sāqib'
jo apne haath se apnā makān khīñchtā hai
jo haq pe chalta hai sach ka nishan khinchta hai
usi ki khaal to sara jahan khinchta hai
sawar asp ki jaise ‘inan khinchta hai
meri KHata pe wo waise hi kan khinchta hai
main us ke samne sina-sipar hi rahta hun
wo jab kamin se apna kaman khinchta hai
wo pahle samne rakkhe kisan ka KHaka
agar kahin koi taswir nan khinchta hai
kisi mahaz pe jab bhi nikalna chahta hun
to mere panw ko kul KHandan khinchta hai
hamin muhafiz-e-namus-e-'ishq-o-'irfan hain
hamin pe har koi tegh-o-sinan khinchta hai
kisi bhi haal mein marta nahin mera kirdar
koi jo silsila-e-dastan khinchta hai
main ek aisa hi KHana-ba-dosh hun 'saqib'
jo apne hath se apna makan khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.