jo hogi subh to lauTenge sham se nikle
jo hogī sub.h to lauTeñge shaam se nikle
tamām 'ishq ke nākām kaam se nikle
tū mujh ko chhū ki tirī uñgliyāñ mahak uTTheñ
ye merā jism bhī fikr-e-davām se nikle
chhupā liyā jo mirā rang tum ne āñkhoñ meñ
kabhī vo rang ruḳh-e-lāla-fām se nikle
ḳhushī meñ vaise bhī maḳhsūs kuchh nahīñ hotā
malāl ye hai mire ġham bhī 'aam se nikle
tumhārī zaat se vābasta ārzūoñ ke
sabhī julūs baḌī dhūm-dhām se nikle
gale meñ tauq to pairoñ meñ beḌiyāñ pahne
ham us galī se baḌe ehtimām se nikle
jo hogi subh to lauTenge sham se nikle
tamam 'ishq ke nakaam kaam se nikle
tu mujh ko chhu ki teri ungliyan mahak uTThen
ye mera jism bhi fikr-e-dawam se nikle
chhupa liya jo mera rang tum ne aankhon mein
kabhi wo rang ruKH-e-lala-fam se nikle
KHushi mein waise bhi maKHsus kuchh nahin hota
malal ye hai mere gham bhi 'am se nikle
tumhaari zat se wabasta aarzuon ke
sabhi julus baDi dhum-dham se nikle
gale mein tauq to pairon mein beDiyan pahne
hum us gali se baDe ehtimam se nikle
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 54)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.