jo koi ki yar-o-ashna hai
jo koī ki yār-o-āshnā hai
ruḳhsat kī mirī use duā hai
kyā baiThā hai raah meñ musāfir
chalnā hī yahāñ se pesh-pā hai
imroz jo ho sake so kar le
fardā kī ḳhabar nahīñ ki kyā hai
ma.ashūq to bevafā haiñ par umr
un se bhī ziyāda bevafā hai
duniyā meñ to ḳhuub guzrī hātim
uqbā meñ bhī dekhiye ḳhudā hai
jo koi ki yar-o-ashna hai
ruKHsat ki meri use dua hai
kya baiTha hai rah mein musafir
chalna hi yahan se pesh-pa hai
imroz jo ho sake so kar le
farda ki KHabar nahin ki kya hai
mashuq to bewafa hain par umr
un se bhi ziyaada bewafa hai
duniya mein to KHub guzri hatim
uqba mein bhi dekhiye KHuda hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 286)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.