jo laDkhaDaen to KHud ko sahaara karte hain
jo laḌkhaḌā.eñ to ḳhud ko sahārā karte haiñ
ham apnī mauj ko apnā kinārā karte haiñ
ḳhudā kā shukr adā karte haiñ har ik lamha
koī bhī vaqt ho hañs kar guzārā karte haiñ
bahut hasīn samajhte haiñ apne-āp ko ham
jab aa.ine meñ ham apnā nazāra karte haiñ
ham apne ghar ko sajāte haiñ āsmāñ kī tarah
isī meñ chāñd isī meñ sitārā karte haiñ
ġhazal ke pīchhe bhaTakte haiñ soī rātoñ meñ
ye hai ḳhasārā to phir ham ḳhasārā karte haiñ
vo jis kā naam hai shohrat kamāl laḌkī hai
ham us ke vāste kyā kyā gavāra karte haiñ
mohabbatoñ kī zabāñ harf se nahīñ bantī
mohabbatoñ meñ diloñ se pukārā karte haiñ
jo laDkhaDaen to KHud ko sahaara karte hain
hum apni mauj ko apna kinara karte hain
KHuda ka shukr ada karte hain har ek lamha
koi bhi waqt ho hans kar guzara karte hain
bahut hasin samajhte hain apne-ap ko hum
jab aaine mein hum apna nazara karte hain
hum apne ghar ko sajate hain aasman ki tarah
isi mein chand isi mein sitara karte hain
ghazal ke pichhe bhaTakte hain soi raaton mein
ye hai KHasara to phir hum KHasara karte hain
wo jis ka nam hai shohrat kamal laDki hai
hum us ke waste kya kya gawara karte hain
mohabbaton ki zaban harf se nahin banti
mohabbaton mein dilon se pukara karte hain
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 87)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.