Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mai dil se piye koi to phir raKHne nahin rahte

Muztar Khairabadi

jo mai dil se piye koi to phir raKHne nahin rahte

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    jo mai dil se piye koī to phir raḳhne nahīñ rahte

    zarā ye saaf kar jaa.e phir tinke nahīñ rahte

    hamārā mai-kada mahfūz hai tāsīr-e-mausam se

    yahāñ shīshe bhare jāḌoñ meñ bhī ThanDe nahīñ rahte

    sharāb-e-nāb ke piine se haañ itnā to hotā hai

    paḌe rahte haiñ jo āñkhoñ pe vo parde nahīñ rahte

    qayām-e-mai-kada ke vāste iqrār kyuuñ saaqī

    pilā.egā to rah jā.eñge aur vaise nahīñ rahte

    libās-e-zāhirī par mai se be-shak daaġh paḌte haiñ

    magar piine se andar qalb ke dhabbe nahīñ rahte

    nahīñ detā jo mai achchhā na de terī ḳhushī saaqī

    piyāle kuchh hamesha taaq par rakkhe nahīñ rahte

    chhupā.e kis tarah zāhid se rāz-e-mai-kashī koī

    ye hazrat mai-kashoñ haal be-pūchhe nahīñ rahte

    namāzoñ se thake zāhid to mai-ḳhāne meñ aa jaanā

    ye uThne baiThne ke is jagah jhagḌe nahīñ rahte

    ḳhudā ke dāman-e-rahmat se apnā dāman-e-isyāñ

    vo kyā Tāñkegā jis ke aañkh meñ Dore nahīñ rahte

    jo mai dil se piye koi to phir raKHne nahin rahte

    zara ye saf kar li jae phir tinke nahin rahte

    hamara mai-kada mahfuz hai tasir-e-mausam se

    yahan shishe bhare jaDon mein bhi ThanDe nahin rahte

    sharab-e-nab ke pine se han itna to hota hai

    paDe rahte hain jo aankhon pe wo parde nahin rahte

    qayam-e-mai-kada ke waste iqrar kyun saqi

    pilaega to rah jaenge aur waise nahin rahte

    libas-e-zahiri par mai se be-shak dagh paDte hain

    magar pine se andar qalb ke dhabbe nahin rahte

    nahin deta jo mai achchha na de teri KHushi saqi

    piyale kuchh hamesha taq par rakkhe nahin rahte

    chhupae kis tarah zahid se raaz-e-mai-kashi koi

    ye hazrat mai-kashon ka haal be-puchhe nahin rahte

    namazon se thake zahid to mai-KHane mein aa jaana

    ye uThne baiThne ke is jagah jhagDe nahin rahte

    KHuda ke daman-e-rahmat se apna daman-e-isyan

    wo kya Tankega jis ke aankh mein Dore nahin rahte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now