jo mujhe aazma ke nikle hain
jo mujhe aazmā ke nikle haiñ
phir vahī sar jhukā ke nikle haiñ
un se ummīd kyā lagā.ūñ maiñ
mujh pe jo muskurā ke nikle haiñ
raushnī ḳhuub dikh rahī hai idhar
kaun ghar ko jalā ke nikle haiñ
maut se kyoñ hameñ Darāte ho
ziist kī lau bujhā ke nikle haiñ
daur-e-hāzir se jo nahīñ vāqif
bas vahī bach-bachā ke nikle haiñ
hone vaale haiñ hādse shāyad
is liye khilkhilā ke nikle haiñ
be-naqāb aa.ine ne jin ko kiyā
vo sabhī tamtamā ke nikle haiñ
jo mujhe aazma ke nikle hain
phir wahi sar jhuka ke nikle hain
un se ummid kya lagaun main
mujh pe jo muskura ke nikle hain
raushni KHub dikh rahi hai idhar
kaun ghar ko jala ke nikle hain
maut se kyon hamein Daraate ho
zist ki lau bujha ke nikle hain
daur-e-hazir se jo nahin waqif
bas wahi bach-bacha ke nikle hain
hone wale hain hadse shayad
is liye khilkhila ke nikle hain
be-naqab aaine ne jin ko kiya
wo sabhi tamtama ke nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.