kabhi nasib se aae jo teri banhon mein
kabhī nasīb se aa.e jo terī bāñhoñ meñ
hazāroñ phuul khile the mirī nigāhoñ meñ
yuuñ kasmapursī ke aalam meñ aaj sochtī huuñ
baḌe ajiib nashe the tirī panāhoñ meñ
maiñ saañs bhī nahīñ letī ki dil ko ḳhauf sā hai
abhī hai zahr ga.ī rut kā merī aahoñ meñ
tirī talāsh meñ dar dar phire magar ai dost
bhaTak ke rah ga.e ham zindagī kī rāhoñ meñ
ye jān-levā kaThin din guzar hī jā.eñge
kabhī to lauT ke aaoge in nigāhoñ meñ
kabhi nasib se aae jo teri banhon mein
hazaron phul khile the meri nigahon mein
yun kasmapursi ke aalam mein aaj sochti hun
baDe ajib nashe the teri panahon mein
main sans bhi nahin leti ki dil ko KHauf sa hai
abhi hai zahr gai rut ka meri aahon mein
teri talash mein dar dar phire magar ai dost
bhaTak ke rah gae hum zindagi ki rahon mein
ye jaan-lewa kaThin din guzar hi jaenge
kabhi to lauT ke aaoge in nigahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.