kabhi yun milen koi maslahat koi KHauf dil mein zara na ho
kabhī yuuñ mileñ koī maslahat koī ḳhauf dil meñ zarā na ho
mujhe apnī koī ḳhabar na ho tujhe apnā koī pata na ho
kabhī dhuup de kabhī badliyāñ dil-o-jāñ se donoñ qubūl haiñ
magar us mahal meñ na qaid kar jahāñ zindagī kī havā na ho
vo hazār bāġhoñ kā baaġh ho tirī barkatoñ kī bahār se
jahāñ koī shāḳh harī na ho jahāñ koī phuul khilā na ho
tire iḳhtiyār meñ kyā nahīñ mujhe is tarah se navāz de
yuuñ duā.eñ merī qubūl hoñ mire lab pe koī duā na ho
kabhī ham bhī us ke qarīb the dil-o-jāñ se baḌh ke aziiz the
magar aaj aise milā hai vo kabhī pahle jaise milā na ho
kabhi yun milen koi maslahat koi KHauf dil mein zara na ho
mujhe apni koi KHabar na ho tujhe apna koi pata na ho
kabhi dhup de kabhi badliyan dil-o-jaan se donon qubul hain
magar us mahal mein na qaid kar jahan zindagi ki hawa na ho
wo hazar baghon ka bagh ho teri barkaton ki bahaar se
jahan koi shaKH hari na ho jahan koi phul khila na ho
tere iKHtiyar mein kya nahin mujhe is tarah se nawaz de
yun duaen meri qubul hon mere lab pe koi dua na ho
kabhi hum bhi us ke qarib the dil-o-jaan se baDh ke aziz the
magar aaj aise mila hai wo kabhi pahle jaise mila na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.