kahan hum mein jhagDa hua tha koi
kahāñ ham meñ jhagḌā huā thā koī
nadāmat meñ rūThā huā thā koī
tamāsha yahāñ aaj honā hī thā
tavajjoh ko tarsā huā thā koī
usī jān-levā bhañvar meñ kahīñ
kināra bhī Duubā huā thā koī
abhī tak haiñ sailāb kī zad meñ ham
bas ik pal ko dariyā huā thā koī
bikhar hī gayā vo bhī sāmān meñ
qarīne se rakkhā huā thā koī
kahan hum mein jhagDa hua tha koi
nadamat mein ruTha hua tha koi
tamasha yahan aaj hona hi tha
tawajjoh ko tarsa hua tha koi
usi jaan-lewa bhanwar mein kahin
kinara bhi Duba hua tha koi
abhi tak hain sailab ki zad mein hum
bas ek pal ko dariya hua tha koi
bikhar hi gaya wo bhi saman mein
qarine se rakkha hua tha koi
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 67)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.