karo dagh-e-dil ki sada pasbani
karo dāġh-e-dil kī sadā pāsbānī
mohabbat kī hai ye muqaddas nishānī
miTā de mujhe gar maiñ huuñ naqsh-e-fānī
jo huuñ naqsh-e-avval banā naqsh-e-sānī
agar bahr tū hai to haiñ buuñd ham bhī
hamīñ se hai ai haq tirī be-karānī
'ayāñ kar ga.ī ik nazar raaz kitne
'ibārat bharī thī tirī be-zabānī
sitāroñ ko nāhaq na ilzām deñ aap
hai hālat mirī aap kī mehrbānī
na aaya koī laash uThāne bhī terī
'sadā' rang laa.ī tirī haq-bayānī
karo dagh-e-dil ki sada pasbani
mohabbat ki hai ye muqaddas nishani
miTa de mujhe gar main hun naqsh-e-fani
jo hun naqsh-e-awwal bana naqsh-e-sani
agar bahr tu hai to hain bund hum bhi
hamin se hai ai haq teri be-karani
'ayan kar gai ek nazar raaz kitne
'ibarat bhari thi teri be-zabani
sitaron ko nahaq na ilzam den aap
hai haalat meri aap ki mehrbani
na aaya koi lash uThane bhi teri
'sada' rang lai teri haq-bayani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.