karun kya gham ki duniya se mila kya
karūñ kyā ġham ki duniyā se milā kyā
kisī ko kyā milā duniyā meñ thā kyā
ye donoñ mas.ale haiñ saḳht mushkil
na pūchho tum ki maiñ kyā aur ḳhudā kyā
rahā marne kī tayyārī meñ masrūf
mirā kaam aur is duniyā meñ thā kyā
vahī sadma rahā furqat kā dil par
bahut ro.e magar is se huā kyā
tumhāre hukm ke tābe’ haiñ ham sab
tumhīñ samjho burā kyā aur bhalā kyā
ilāhī 'akbar'-e-bekas kī ho ḳhair
ye charche ho rahe haiñ jā-ba-jā kyā
karun kya gham ki duniya se mila kya
kisi ko kya mila duniya mein tha kya
ye donon masale hain saKHt mushkil
na puchho tum ki main kya aur KHuda kya
raha marne ki tayyari mein masruf
mera kaam aur is duniya mein tha kya
wahi sadma raha furqat ka dil par
bahut roe magar is se hua kya
tumhaare hukm ke tabe’ hain hum sab
tumhin samjho bura kya aur bhala kya
ilahi 'akbar'-e-bekas ki ho KHair
ye charche ho rahe hain ja-ba-ja kya
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 84)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.