KHak-dan ko mawara-e-asman le jaega
ḳhāk-dāñ ko māvarā-e-āsmāñ le jā.egā
jo parinda sar pa rakh kar āshiyāñ le jā.egā
maiñ faqat piitā rahūñgā sāhiloñ kī tishnagī
vo samundar kī sabhī tuġhyāniyāñ le jā.egā
jab utar jā.eñgī tah meñ ḳhvāhishoñ kī kashtiyāñ
nāḳhudā us vaqt apne bādbāñ le jā.egā
kārvāñ ke sab musāfir sochte haiñ shaam se
sub.h-dam kis samt mīr-e-kārvāñ le jā.egā
kyā ḳhabar hai kis kī pahle putliyāñ phir jā.eñgī
kaun apne saath kyā sūd-o-ziyāñ le jā.egā
ham kināroñ par khaḌe ginte raheñge mauj mauj
aur safīne ko kahīñ āb-e-ravāñ le jā.egā
ab to ḳhatre meñ hai 'mohsin' ḳhirqa-e-darvesh bhī
tū bachā kar shamla-e-izzat kahāñ le jā.egā
KHak-dan ko mawara-e-asman le jaega
jo parinda sar pa rakh kar aashiyan le jaega
main faqat pita rahunga sahilon ki tishnagi
wo samundar ki sabhi tughyaniyan le jaega
jab utar jaengi tah mein KHwahishon ki kashtiyan
naKHuda us waqt apne baadban le jaega
karwan ke sab musafir sochte hain sham se
subh-dam kis samt mir-e-karwan le jaega
kya KHabar hai kis ki pahle putliyan phir jaengi
kaun apne sath kya sud-o-ziyan le jaega
hum kinaron par khaDe ginte rahenge mauj mauj
aur safine ko kahin aab-e-rawan le jaega
ab to KHatre mein hai 'mohsin' KHirqa-e-darwesh bhi
tu bacha kar shamla-e-izzat kahan le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.